jinhen mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the wahi eatibar-e-zamana the wahi log dida-waron mein the hue hath ab to lahu lahu sar-e-chashm andhera hai chaar-su kabhi hum bhi aaina-saz the kabhi hum bhi shisha-garon mein the chali shahr mein wo hawa-e-zar ki ghubar ban ke gae bikhar wo jo khwab aankhon mein the makin wo junun jo apne saron mein the mere muhsinon mein hain shahr ke ye tawil-o-ashna raste kahin aur jae aman na thi ki ghanim-e-jaan to gharon mein the wahi jin ki tegh se ban gaya mera shahr maqtal-e-khun-fishan sar-e-am dida-e-nam liye wahi log nauhagaron mein the ek udas basti mein waqt-e-shab main gaya to aise makan the sab na to khidkiyon mein the mah-ru na charagh un ke daron mein the sar-e-sham dur fazaon mein ye jo aaine se chamak uthe yahi dhalti dhup ke rang the ki jo taeron ke paron mein the