kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se ab hum apne aap ko khud hi lagte hain anjaane se muddat guzri dub chuka hun dard ki pyasi lahron mein zinda hun ye koi na jaane sans ke aane jaane se dasht mein tanha ghum raha hun dil mein itni aas liye koi bagula aa takrae shayad mujh diwane se jal-marna to sahl hai lekin jalte rahna mushkil hai shama ki itni baat to koi ja kah de parwane se lakh bataya lakh jataya duniya kya hai kaisi hai phir bhi ye dil baz na aaya khud hi dhoke khane se ab to chhu kar dekh na mujh ko apni thandi rakh hun main mumkin hai phir shole bhadken tere hath lagane se log sunate hain kuchh qisse mere ahd-e-jawani ke jaise hon ye khwab ki baaten hon ye 'shamim' afsane se