aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein is tarah aib nikalo na musalsal mujh mein zindagi hai meri thahra hua pani jaise ek kankar se bhi ho jati hai halchal mujh mein main ba-zahir to hun ek zarra zamin par lekin apne hone ka hai ehsas mukammal mujh mein aaj bhi hai teri aankhon mein tapish sahra ki karwaten leta hai ab bhi koi baadal mujh mein jo andheron mein mere sath chala bachpan se ab wo tara bhi kahin ho gaya ojhal mujh mein khwahishen aa ke lipat jati hain sanpon ki tarah jab mahakta hai teri yaad ka sandal mujh mein ab wo aaya to bhatak jaega rasta 'nusrat' ab ghana ho gaya tanhai ka jangal mujh mein