aakhir aakhir ek gham hi aashna rah jaega aur wo gham bhi mujh ko ek din dekhta rah jaega sochta hun ashk-e-hasrat hi karun nazr-e-bahaar phir khayal aata hai mere pas kya rah jaega ab hawaen hi karengi raushni ka faisla jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega aaj agar ghar mein yahi rang-e-shab-e-ishrat raha log so jaenge darwaza khula rah jaega ta-had-e-manzil tawazun chahiye raftar mein jo musafir tez-tar aage badha rah jaega ghar kabhi ujda nahin ye ghar ka shajara hai gawah hum gae to aa ke koi dusra rah jaega raushni 'mahshar' rahegi raushni apni jagah main guzar jaunga mera naqsh-e-pa rah jaega