ab nahin koi jabin mah-e-darakhshan ki tarah ab koi aankh nahin chashm-e-ghazalan ki tarah ab kahin bhi nazar aate nahin aariz ke gulab ab koi zulf kahan sumbul-o-raihan ki tarah is bhare shahr mein ab koi zulekha hi nahin ek chehra bhi nahin surat-e-jaanan ki tarah kijiye bhi to kahan us rukh-e-zeba ki talash koi kucha hi nahin ku-e-nigaran ki tarah zindagi ban gai ek soz-e-darun tere baghair kate katti hi nahin hai shab-e-hijran ki tarah le ke aai teri yaadon ke mahakte hue phul koi mausam hi nahin fasl-e-bahaaran ki tarah jaan-e-jaan meri wafaon ka sila do ki na do kaun chahega tumhein is dil-e-nadan ki tarah