aankhon mein kahin us ke bhi tufan to nahin tha wo mujh se juda ho ke pasheman to nahin tha kyun mujh se na ki us ne sar-e-bazm koi baat main sang-e-malamat se gurezan to nahin tha han harf-e-tasalli ke liye tha main pareshan pahlu mein mere dil tha kuhistan to nahin tha kyun rasta dekha kiya us ka main sar-e-sham be-dard ka mujh se koi paiman to nahin tha jalwa tha tera aag mein har lahza huwaida warna mujhe jal marne ka arman to nahin tha tha dil bhi kabhi shahr-e-tamanna se mumasil ye qarya hamesha se bayaban to nahin tha tufan-e-alam kyun mujhe sahil pe utara main shor-e-talatum se hirasan to nahin tha rakkha tha chhupa kar jise alfaz mein main ne parde mein sukhan ke bhi wo uryan to nahin tha kahte hain ki hai 'arsh' nigun pae nabi par aisa wo koi sahab-e-iman to nahin tha