aariz-e-raushan pe jab zulfen pareshan ho gain kufr ki gumrahiyan ham-rang-e-iman ho gain zulf dekhi us ki jin qaumon ne wo kafir banin rukh nazar aaya jinhen wo sab musalman ho gain khud-faroshi husn ko jab se hui madd-e-nazar nirkh-e-dil bhi ghat gaya jaanen bhi arzan ho gain jo banain thin kabhi aiwan-e-kisra ka jawab gardish-e-aflak se gard-e-bayaban ho gain khauf-e-nakaami hai jab tak kaamyabi hai muhaal mushkilen jab bandh gain himmat sab aasan ho gain hae kis ko roiye aur kis ki khatir pitiye kaisi kaisi suraten nazron se pinhan ho gain kya unhen andoh-e-hangam-e-sahar yaad aa gaya sham hi se bazm mein shamen jo giryan ho gain ek farishte bhi to hain jin ko na mehnat hai na ranj khwahishen dil ki bala-e-jaan-e-insan ho gain kya hai wo jaan-e-mujassam jis ke shauq-e-did mein jama-e-tan phenk kar ruhen bhi uryan ho gain thi wo taufiq-e-ilahi main ne samjha apna feal taaten bhi mere haq mein ain isyan ho gain