mah-jabinon ki adaon se ulajh baitha hun is ka matlab hai balaon se ulajh baitha hun bab-e-tasir se nakaam palat aai hai is liye apni duaon se ulajh baitha hun teri dahliz pe jhukne ka sawal aaya tha main zamane ki anaon se ulajh baitha hun jo musafir ke liye bais-e-taskin nahin aise ashjar ki chhanw se ulajh baitha hun jo gharibon ka diya phunk ke tham jati hai aisi kam-zarf hawaon se ulajh baitha hun ab teri god ke palon mein bhi ehsas nahin bas yahi soch ke ganw se ulajh baitha hun arsh wale meri tauqir salamat rakhna farsh ke sare khudaon se ulajh baitha hun apne qatil se ulajhne ka irada kar ke log kahte hain khalaon se ulajh baitha hun ek kam-zarf ki be-rabt jafa ki khatir shahr-walon ki wafaon se ulajh baitha hun teri dastar se 'kazim' main ulajh na pata bas yahi soch ke panw se ulajh baitha hun