aankh se aankh milata hai koi dil ko khinche liye jata hai koi wae hairat ki bhari mahfil mein mujh ko tanha nazar aata hai koi subh ko khunuk fazaon ki qasam roz aa aa ke jagata hai koi manzar-e-husn-e-do-alam ke nisar mujh ko aaina dikhata hai koi chahiye khud pe yaqin-e-kaamil hausla kis ka badhata hai koi sab karishmat-e-tasawwur hain 'shakil' warna aata hai na jata hai koi