aakhiri zarb ko dil tir hua aakhir-kar nakhshab-e-husn bhi taskhir hua aakhir-kar khushbuen mere taaqub se nahin baz aain main phir aamada-e-taqsir hua aakhir-kar ek shoala sar-e-qirtas-e-badan aa ke gira aakhiri harf bhi tahrir hua aakhir-kar sang-o-khisht us ki nawazish se hue ghuncha-o-gul khatm mujh par fan-e-tamir hua aakhir-kar sal-ha-sal se mahke na the dastak ke gulab samea paikar-e-taswir hua aakhir-e-kar imtihan apni nigahon ka tha manzur mujhe munqata rishta-e-zanjir hua aakhir-kar mere atraf mein khincha gaya aankhon ka hisar shor wabasta-e-tashhir hua aakhir-kar gosha-e-zehn mein ek nukta-e-mauhum ka raqs raqs-e-kaunain ki tafsir hua aakhir-kar