aankh mangi to mujhe de diya dariya us ne hont mange to diya pyas ka sahra us ne bistar-e-khwab pe aaram ki khwahish thi bahut tohfa-e-dard-e-mohabbat se nawaza us ne zindagi bhar ke liye rizq mera band kiya sabr ka de ke mujhe ek niwala us ne baat tanhai se karne ka diya izn mujhe bazm-e-ahbab mein khamosh bithaya us ne chand sanson ka jahan khalq kiya mere liye quwwat-e-bazu-o-par de ke udaya us ne chahta tha ki har ek fan mein mukammal ho jaun main jo girne laga mujh ko na sanbhaala us ne ku-ba-ku phirte rahe nakhl-e-junun mil na saka shahr-e-idrak mein barson to ghumaya us ne main ne dekha nahin ehsas hua hai mujh ko khol rakkha hai mere ghar mein daricha us ne waqt ke sath hua jata hai gahra ye sawal kyon dikhaya tha chamakta hua tara us ne us ke chehre ki tilawat se na ghafil ho jaun is liye aaina hathon se giraya us ne zindagi jaise guzarni thi wo guzri 'yawar' gul-sifat khwab mujhe roz dikhaya us ne