aalam-e-be-chehragi mein kaun kis ka aashna aaj ka har lafz hai mafhum se na-ashna kaun hota hai zamane mein kisi ka aashna log hona chahte hain khud zamana-ashna sochta hun kaun si manzil hai ye idrak ki zarra zarra aashna hai patta patta aashna chat jati hai jinhen suraj ki pyasi raushni kash ho jaen kisi din wo bhi dariya-ashna tishnagi aai sarabon se guzar kar aab tak sahil-e-dariya magar ab tak hai sahra-ashna zauq-e-khud-bini ki taskin-e-ana ke waste kitne hi na-ashnaon ko banaya aashna kash ho jae teri aankhon pe khwabon ka nuzul kash ho jae tera dil bhi tamanna-ashna kaun pahchanega hum ko kaun puchhega mizaj kaun hai apne siwa 'qaisar' hamara aashna