gareban phadte hain dekh khuban-e-chaman kyun kar na kije chaak naseh is hawa mein pairahan kyun kar kare mehnat koi lazzat uthawe yar se koi kaho apne tain zaea na karta kohkan kyun kar na do ai gul-rukhan taklif mujh ko sher-khwani ki kaho bin fasl-e-gul koi kare diwana-pan kyun kar hua jata hun gaz saya pe padti hai nazar meri teri saj dekh kar ahbab jite hain sajan kyun kar tajjub sakht rahta hai 'yaqin' is baat ka mujh ko ki itna bolte hain talkh ye shirin-dahan kyun kar