wafa ki rah mein kis ka ye naqsh-e-pa nikla jabin-e-shauq tera aaj hausla nikla sukut-e-akhir-e-shab aur fasurdagi dil ki bujha bujha sa teri yaad ka diya nikla kami thi kuchh teri bazm-e-tarab mein kya saqi ki jura jura bhala kis ka hausla nikla kabhi baraste the lal-o-guhar isi ghar mein isi makan se magar kasa-e-gada nikla kathin thi rah-e-wafa dur manzil-e-jaanan qadam badhae to lamhon ka fasla nikla mera fasana to har ahd ka fasana hai ki lafz lafz mohabbat ka majra nikla