aalam-e-hairat ka dekho ye tamasha ek aur yar ne aaine mein apna sa dekha ek aur marne walon mein raha jata hai jita ek aur nim-bismil hun main qatil hath pura ek aur rafta rafta dil ko dil se rah ho jae kahin un se milne ka rahe poshida rasta ek aur ek to missi ka naqsha jam raha hai sham se pan ki lali ne rang apna jamaya ek aur main ne mana aap ne bose diye main ne liye wo kahan nikli jo hai meri tamanna ek aur yaad mein ek shokh punjabi ke rote hain jo hum aaj-kal punjab mein bahta hai dariya ek aur un ka jhumar dekh kar kahne lage ahl-e-zamin dekh le ai aasman aqd-e-surayya ek aur jite-ji to daman-e-sahra ka khilat mil gaya baad marne ke mile un ka dupatta ek aur bazm se saqi ke hum se rind nikle pak-saf apna ab kabe mein pahunchega musalla ek aur shairan-e-asr ki tujh ko to hai paighambari bu-salimi bhi hue ai 'mehr' paida ek aur