aalam-e-khwab sahi khwab mein chalte rahiye raat kat jaegi karwat to badalte rahiye kis ko malum kahan se koi patthar aa jae hausla ho to andheron mein nikalte rahiye ban hi jaega kabhi koi khudi ka paikar apne ehsas ki garmi se pighalte rahiye zindagi silsila-e-khwab-e-tamanna hai koi raat bhar khwab ko khwabon se badalte rahiye hum pe kya hoga zamane ki hawaon ka asar aap mausam ki tarah roz badalte rahiye zindagi kya hai sarabon ka safar hai 'abid' waqt ki ret pe din raat machalte rahiye