dasht mein chhanw koi dhund nikali jae apni hi zat ki diwar bana li jae ye to mumkin hai ki diwar gira den lekin kaise girti hui diwar sambhaali jae dhundhna hoga khad-o-khal ki duniya mein jise pahle us shakhs ki taswir bana li jae dil ho faiyyaz to bas ek hi dar kafi hai kya zaruri hai ki har dar pe sawali jae tum jo bole to mili zauq-e-ana ko taskin mujh ko dar tha meri aawaz na khali jae likh to den har dar-o-diwar pe 'abid' lekin baat aisi hai ki sine mein chhupa li jae