zamin se chal ke to pahuncha hun aasman tak main safar ka bojh uthae phirun kahan tak main azal wajud safar raste ki dhund adam qusur-war hun tartib-e-dastan tak main sukun-e-zist ibarat tha jis ki yaadon se bhula chuka hun wo harf-e-qarar-e-jaan tak main ye soch kar na koi raste mein lut jae diye jalata chala ku-e-dilbaran tak main main zindagi ki inayat se nahin mahrum qarib hun gham-e-dil se gham-e-jahan tak main na farsh mera thikana na arsh mera maqam ye aur baat zamin par hun aasman tak main