aalam-e-sajda hai mera ek aalam nur ka sajda-gah par meri dhoka ho raha hai tur ka ek aalam ham-nawa hai sahib-e-maqdur ka sath deta hai kahan koi kisi majbur ka shiddat-e-ehsas-e-tanhai ki hain hamdardiyan dard badh jata hai aksar raat ko ranjur ka tir ne napi hain shayad zakhm ki gahraiyan ilm bechaare ko kya hai sadma-e-mastur ka shama raushan hai kahan is ka pata chalta nahin par nazar ko hai yaqin maujudgi-e-nur ka hain kabhi nazren tamanna par kabhi ummid par yani hasrat-nak aalam hai dil-e-majbur ka tujh mein aur tere tasawwur mein zara sa farq hai ek manzar pas ka hai ek manzar dur ka sarfaraazi-o-nawazish ka suna hai sirf nam ai 'zaki' un se to rishta bhi nahin hai dur ka