aalam-e-wahshat-e-tanhai hai kuchh aur nahin sar pe ek gumbad-e-minai hai kuchh aur nahin kyun hua mujh ko inayat ki nazar ka sauda aaj ruswai hi ruswai hai kuchh aur nahin apna ghar phunk chuka apna watan chhod chuka ye faqat baadiya-paimai hai kuchh aur nahin ho sake to koi farda ki bana lo taswir waqt jalwon ka tamannai hai kuchh aur nahin aao khush ho ke piyo kuchh na kaho waiz ko mai-kade mein wo tamashai hai kuchh aur nahin