ek sauda hai lazzat-e-gham hai aaj phir meri aankh pur-nam hai dil ko bahla rahe hain muddat se zindagi kya azab se kam hai zarra zarra udas hai us ka mere ghar ka ajib aalam hai mehr-o-mah par kamand padti hai soch mein koi ibn-e-adam hai tujh se parda nahin mere gham ka tu meri zindagi ka mahram hai ye jo ek eatibar hai tum par kis qadar paedar-o-muhkam hai kal to duniya badal hi jaegi aaj un ka ye jaur-e-paiham hai dil na kaba hai ne kalisa hai tera ghar hai harim-e-mariyam hai