aashiq ke dil mein aur teri aarzu na ho is bagh ka tu phul ho phir is mein bu na ho ai dard-e-ishq khana-e-dil ghar tera sahi aabaad ye makan to jab ho ki tu na ho main rang dekh kar na karunga yaqin kabhi jab tak adu ke khun ki khanjar mein bu na ho chaak-e-dil-e-raqib ki jab fikr kijiye pahle ye dekh lijiye pahla rafu na ho is fikr mein kuchh un se na hum baat kar sake ye guftugu na ho kahin wo guftugu na ho mujh ko janab-e-shaikh ki dawat zarur hai aisi kahin sharab mile jis mein bu na ho mitti ki murat is se to ai 'dagh' khub hai mashuq kya jo shokh na ho khush-gulu na ho