aalam ho qahr ka to labon par dua na ho is khamushi pe main bhi ye dekhun ki kya na ho ab to hamare ahd mein firauniyat ke beach musa wahi hai hath mein jis ke asa na ho bante hain zabte yahan honton pe qufl ke patthar ye chahte hain koi be-sada na ho aisa na ho ki khwab bhi jhad jaen nind se mausam yahan ho sard pa itna khafa na ho ghabra ke sab ujalon se kahne lage 'nawed' hum tirgi mein jaen to ek bhi diya na ho