pursa-dari ke fan mein taq nahin aisa pinjra hun jis mein chaak nahin tu bhi majbur ho chuka hoga in dinon main bhi thik-thak nahin ek muayyan kalam hai tujh se ye zarurat hai ishtiyaq nahin roz aati hai ek sada mujh tak aasmanon ke par tak nahin dasht ka dagh banne wala hai ek wahshi jo dil ka pak nahin aise bad-zauq bhi nahin hain hum munh lagane ko tujh mein khak nahin ya tamanna tumhaari tutegi ya sitaron bhara tabaq nahin aur pila karo mera chehra yun lage kuchh mujhe firaq nahin