kabhi firaq kabhi lazzat-e-visal mein rakh mujh e'tidal se aari ko e'tidal mein rakh nacha raha hai mujhe ungliyon pe ishq tera tamam umr isi raqs-e-be-misal mein rakh dukhi ho dil to utarti hai shairi mujh par tujhe ghazal ki qasam hai mujhe malal mein rakh tu chahta hai agar kar-e-afatab karun mera uruj meri saat-e-zawal mein rakh tere baghair guzari hai zindagi main ne tu is sitam ki talafi bhi mah-o-sal mein rakh tu dil hai aur dhdakna teri ibaadat hai so khud ko jism se bahar bhi tu dhamal mein rakh shikam se ho ke guzarte hain qaul-o-feal mere mujh aise shakhs ko nan-o-namak ke jal mein rakh mere badan ko bhale is se aag lag jae charagh-e-harf magar mere baal baal mein rakh main is azab ke nashshe mein mubtala hun 'kabir' parai aag utha kar meri sifal mein rakh