aalam ke doston mein murawwat nahin rahi sharm-o-haya-o-mehr wa shafqat nahin rahi zahir mein kya rafiq kahate hain aap kun lekin unon ke dil mein mohabbat nahin rahi milte hain rasti sin jo koi kaj-nazar mile khwabon mein pak-baz ki hurmat nahin rahi har khar bul-hawas ke kiye sohbat ikhtiyar to husn gul-rukhon mein latafat nahin rahi na-layqon mein umr kun karnan abas talaf ham-sohbati ki un mein liyaqat nahin rahi bhule hain har sanam ke karishme pe hosh kun in zahidon mein kashf-o-karamat nahin rahi sifle hue aziz aziz ab hue kharab be-jauharon mein qadr-e-sharafat nahin rahi mat ho bahaar-e-gulshan-e-duniya ka andalib is phulban mein bu-e-rifaqat nahin rahi ab zat-e-haq baghair na rakh dosti 'siraj' aalam mein aashnai-o-ulfat nahin rahi