andheri shab hai kahan ruth kar wo jaega khula rahega agar dar to laut aaega jo ho sake to use khat zarur likha kar tujhe wo meri tarah warna bhul jaega bahut dabiz hui ja rahi hai gard-e-malal na jaane kab ye dhulegi wo kab rulaega lage hue hain nigahon ke har jagah pahre kahan mata-e-sukun ja ke tu chhupaega use bhi chahiye ek jism aur mujhe pani isi liye wo samundar mujhe bulaega abhi ye sham ka manzar bahut hasin hai 'shamim' dhalegi raat to aa kar yahi daraega