aalam ko us ne naqsh-e-kaf-e-pa bana diya yani bana diya kabhi gahe mita diya hoti na tab-e-jalwa-e-pinhan kalim ko kyon tu ne parda-e-rukh-e-zeba utha diya puchha jo us se hasti-e-alam ke raaz ko zalim ne apna naqsh-e-kaf-e-pa dikha diya hum ibtida-e-soz-e-mohabbat mein jal bujhe wo shama hain ki sham se mujh ko bujha diya goya ki hum bhi naqsh-e-tamanna-e-ghair the banne na pae the ki kisi ne mita diya