aalam mein hare honge ashjar jo main roya gulchin nahin sinchenge gulzar jo main roya barsega jo abr aa kar khul jaega dam bhar mein aansu nahin thamne ke ai yar jo main roya rooge jharoke mein tum hichkiyan le le kar ai yar kabhi zer-e-diwar jo main roya zakhmi hun to hone do kyun yar bisorun main kya baat rahi kha kar talwar jo main roya hun mustaid-e-riqqat farhad mujhe bahla le dubenge tujh ko bhi kohsar jo main roya majnun ne kaha jao wahshat unhen dikhlao baitha hua sahra mein be-kar jo main roya rahm aa hi gaya un ko katwa de meri bedi zindan mein chilla kar ek bar jo main roya ki ghusse ke mare phir us ne na nigah sidhi in ankhdiyon ka ho kar bimar jo main roya betabi o zari par meri unhen rahm aaya dikhla hi diya mujh ko didar jo main roya aaram wo karte hain rulwa na mujhe ai dil thahrenge na wo ho kar bedar jo main roya aae the ba-mushkil wo lae the 'sharaf' un ko phir uth gae wo ho kar bedar jo main roya