aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai har husn muqabil mein kuchh kam nazar aata hai chamka hai muqaddar kya is tira-nasibi ka suraj bhi shab-e-gham ka parcham nazar aata hai hai teri tamanna ka bas ek bharam qaem ab warna mere dil mein kya dam nazar aata hai tanha nahin rah pata sahra mein bhi diwana jab khak udata hai aalam nazar aata hai ai 'zeb' mujhe teri takhil ki maujon mein hushyari o masti ka sangam nazar aata hai