khak par hi mere aansu hain na daman mein kahin jo teri rah mein khoya gaya paya na gaya sabab-e-khanda-e-gul gul ko nahin khud malum is tarah koi bhi diwana banaya na gaya mukhtalif naghme se hai qalb-e-mughanni ka raaz jo lab-e-saz pe bhi bazm mein laya na gaya rakh diya khalq ne nam us ka qayamat ai 'zeb' koi fitna jo zamane se uthaya na gaya