aalam tamam soya hai hum jag rahe hain khushiyon ko nind aai hai gham jag rahe hain iman o din dekhiye mahw-e-khiram hain kahte hain aap dair-o-haram jag rahe hain soya pada hai amn tashaddud hai hosh mein soe hain ya ki ahl-e-qalam jag rahe hain chehre se huzn o gham ki lakiren to mit gain lekin jigar ke dagh sanam jag rahe hain guzra hai koi karwan shayad abhi 'ziya' utthi hai dhul naqsh-e-qadam jag rahe hain