yun bhi hui hai un ki inayat kabhi kabhi dil par guzar gai hai qayamat kabhi kabhi ai chashm-e-iltifat ye kaisa tilism hai pata hun ab jo dard mein lazzat kabhi kabhi shaikh-e-haram ho mufti-e-azam ho ya imam har nek dil ko hoti hai chahat kabhi kabhi allah re shauq-e-did ki khud apni zat mein dekhi hai main ne aap ki surat kabhi kabhi main ne to munh se uf bhi nahin ki hai aaj tak tum ne zarur ki hai shikayat kabhi kabhi tum bhi 'ziya' fareb-e-tabassum mein aa gae tum ko bhi ho chuki hai nadamat kabhi kabhi