jo log bhi dar se tere mansub rahe hain firdaus ke wo phir kahan matlub rahe hain hasil hai sharaf jin ko gadai ka tumhaari sab log unhin ke yahan maghlub rahe hain dar-asl wahi log tumhein par milenge jo aag ke dariya mein abhi dub rahe hain ashaar ki surat mein bhala kaise bayan ho jalwe dar-e-jaanan ke bahut khub rahe hain chhutega nahin sabr ka daman ki hamare aslaf kabhi hazrat-e-yaqub rahe hain tum chaho agar bant lo hum se gham-e-hijran hum bhi to kisi ke kabhi mahbub rahe hain jin se bhi nazar pher li rab ne mere 'afzal' nazron mein zamane ki wo mayub rahe hain