dekha tha jo bhi khwab mein ab kya hai kuchh nahin is husn aur shabab mein ab kya hai kuchh nahin mere liye to jaise wo kaghaz ka phul tha us khushnuma gulab mein ab kya hai kuchh nahin ab hain kitab-e-zist ke auraq muntashir is ke har ek bab mein ab kya hai kuchh nahin mujh ko dikha raha tha abhi tak wo sabz bagh hai zindagi azab mein ab kya hai kuchh nahin khush-fahmi ke shikar the wade pe jis ke sab kya kya mila hisab mein ab kya hai kuchh nahin jo kuchh bacha ke rakkha tha aainda ke liye sab mil gaya wo aab mein ab kya hai kuchh nahin mera sawal us ke liye la-jawab tha jo kuchh mila jawab mein ab kya hai kuchh nahin kal tak samajh raha tha jise jaan-e-arzu is husn-e-intikhab mein ab kya hai kuchh nahin raushan thi jin se sham-e-shabistan-e-zindagi yaadon ke is sarab mein ab kya hai kuchh nahin jo lutf us ki nuqrai aawaz mein mila is chang aur rabab mein ab kya hai kuchh nahin 'barqi' tha jis ka ru-e-hasin misl-e-mahtab us rashk-e-mahtab mein ab kya hai kuchh nahin