aana tha jise aaj wo aaya to nahin hai ye waqt badalne ka ishaara to nahin hai dawat de kabhi kyun wo mohabbat se bulae dariya se meri pyas ka rishta to nahin hai ye kaun gaya hai ki jhapakti nahin aankhen raste mein wo thahra hua lamha to nahin hai hansta hua chehra hai damakta hua paikar guzra hua ye mera zamana to nahin hai aankhon ne abhi nind ka daman nahin chhoda khwabon se bharosa abhi tuta to nahin hai dariya mein sar-e-sham hai duba hua suraj din-bhar ka musafir koi pyasa to nahin hai chhod aae ho jis ke liye aanchal ki ghani chhanw is shahr mein wo dhup ka tukda to nahin hai raste mein 'fahim' us ki tabiat ka bigadna ghar jaane ka ek aur bahana to nahin hai