bahut dinon mein kahin raste badalte the wo log kaise the jo sath sath chalte the wo kar-gah na rahi aur na wo sifal rahi khuda ke daur mein kya aadmi nikalte the zara se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi aur ek charagh se kitne charagh jalte the guzarne ki wo surat qayam-e-khwab mein thi jahan se aur kai raste nikalte the falak pe apna basera tha aur hum aksar falak ke aakhiri kone pe ja nikalte the