aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahin hum aur kahin ab ahd-e-wafa tuta ki raha tum aur kahin hum aur kahin be-ap khushi se ek idhar kuchh khoya hua sa ek udhar zahir mein baham baatin mein juda tum aur kahin hum aur kahin aae to khushamad se aae baithe to murawwat se baithe milna hi ye kya jab dil na mila tum aur kahin hum aur kahin wada bhi kiya to ki na wafa aata hai tumhein charkon mein maza chhodo bhi ye zid lutf is mein hai kya tum aur kahin hum aur kahin bargashta-nasib ka yun hona sona bhi to ek karwat sona kab tak ye judai ka rona tum aur kahin hum aur kahin dil milne pe bhi pahlu na mila dushman to baghal hi mein hai chhupa qatil hai mohabbat ki ye haya tum aur kahin hum aur kahin yaksui-e-dil marghub hamein barbaadi-e-dil matlub tumhein is zid ka hai aur anjam hi kya tum aur kahin hum aur kahin dil se hai agar qaem rishta to dur-o-qarib ki bahs hi kya hai ye bhi nigahon ka dhoka tum aur kahin hum aur kahin sun rakkho qabl-e-ahd-e-wafa qaul aarzu-e-shaidai ka jannat bhi hai dozakh gar ye hua tum aur kahin hum aur kahin