chot dil par lage aur aah zaban se nikle dard utthe hai kahan aur kahan se nikle pyar hai us ko agar mujh se to anjam ye ho ghar jale mera dhuan us ke makan se nikle si liya hum ne to ulfat mein labon ko apne ab kisi dard ki aawaz kahan se nikle mujh ko marne ka nahin khauf tamanna ye hai ruh mahbub ki banhon mein yahan se nikle chuk aankhon se hui hai yahi sach hai warna koi ghayal na ho jab tir kaman se nikle thokaren kha ke bhi sambhle na zamane ki hum hath malte hue chup-chap jahan se nikle hum ko zarra hi samajhte the sitare lekin ban ke hum chand 'arun' sare jahan se nikle