ajal ne lut liya aa ke karwan-e-hayat suna raha hun zamane ko dastan-e-hayat hazaron karwaten badlin zamane ne lekin uthe na khwab taghaful se khuftagan-e-hayat raha na piri mein jab kuchh bhi zindagi ka maza sahar ke waqt chale uth ke mehman-e-hayat rah-e-adam ki wo dushwariyan maaz-allah ki mar ke pahunche hain manzil pe rahrawan-e-hayat bahaar-e-jalwa-gah-e-yar tera kya kahna adam se aae hain hasti mein taliban-e-hayat yahi bulandi-o-pasti hai bas zamane ki hai ek zamin-e-hayat ek aasman-e-hayat kisi tarah bhi talafi-e-zist ho na saki qaza ke sar pe raha khun-e-kushtagan-e-hayat khila na ghuncha-e-dil bagh-e-dahr mein 'afqar' khizan-nasib raha apna gulistan-e-hayat