aane wala to har ek lamha guzar jata hai wo ghubar udta hai ambar sa dhar jata hai kaun se ghaar mein gir jata hai manzar sara kin khalijon mein bhara-shahr utar jata hai pattiyan sukh ke jhad jati hain chhat jate hain phal jis ko mausam kaha karte hain wo mar jata hai lams ki shiddaten mahfuz kahan rahti hain jab wo aata hai kai fasle kar jata hai intizar ek badi umr ka daryuza-gar jo bhi aata hai koi sil yahan dhar jata hai