ishq mein barbaad hone ke siwa rakkha na tha gham ko sahne ke alawa koi bhi chaara na tha yaad rah rah kar kisi ki hai satati raat bhar subh hote bhul jaana ye tujhe shewa na tha ye teri ulfat mujhe rakhti hai betabi mein gum ye sabhi ko thi khabar lekin koi charcha na tha aaina dekhun to kyun tu hi nazar aae mujhe bolta hai kya tera chehra mere jaisa na tha din guzar jata hai duniya ki masafat mein magar raat hi ek imtihan hai jis ka andaza na tha raat ki tanhaiyan aaghosh mein le kar mujhe puchhti hain kya kabhi tanhaiyan dekha na tha kya mohabbat wo nasha hai main zara jaanun 'nisar' zindagi mein is tarah pahle kabhi bahka na tha