har qadam par mere armanon ka khun zindagi tera kahan tak sath dun aandhiyon ki zad mein hai mera wajud aur main diwar ki taswir hun kaun ho tum aur kahan se aae ho sochta hun apne sae se kahun rang ki duniya se main ukta gaya phul-rut mein zahr pi kar so rahun chahta hun tum ko khushbu ki tarah ab ki main aawaz hi aawaz hun ab koi mera nahin mere siwa aaj apne-ap dil ko tod lun main ki paighambar nahin 'ahmad-ziya' kaun sa paigham is duniya ko dun