aane wale dinon ko bhi hum ji chuke ab yahan koi mausam anokha nahin aao ab apne bistar lapeten chalo ek aise nagar mein jo dekha nahin ishtihaaron ke be-barg sahra mein ab gum-shuda lazzaten dhundhti hai zaban ai zamin tere daman mein wo phal bhi hai zaiqa jis ka duniya ne chakkha nahin pattiyan jhad gain phul murjha gae kitna sunsan hai ped ehsas ka us ki shakhon pe jis ka basera tha kal wo parinda bhi to aaj lauta nahin jis ko dushman kahun koi aisa nahin ab to jo bhi hai mera bahi-khwah hai ye jo har sans pine pe majbur hun main ne ye zahr khud to kharida nahin apne purkhon ka waris hun phirta hun main dar-ba-dar apni jholi mein dale hue sare sikke jo taksal bahar hue sare alfaz wo jin ke ma'na nahin