bichhaD ke us se jo nikle to be-nawa the bahut

bichhad ke us se jo nikle to be-nawa the bahut
wo la-sharik na bhi ho sharik-e-la the bahut

hua na kuchh bhi jo hum se mufahamat to hui
hum apne aap se ab tak khafa-khafa the bahut

faza hai sust gham-e-marg ham-khayalan sakht
hujum-e-shahr mein hone ko ham-nawa the bahut

kahin jo sach ki kiran thi to aaine mein thi
magar wo khauf ki chehre hawa hawa the bahut

guman ghalat tha ki jo shakhs bhi hai hum sa hai
wo hum hi the ki har ek shakhs se juda the bahut

ye kis khata pe mili be-qiyamiyon ki saza
ki pa-shikasta saza-yab be-khata the bahut

kahan gaya ki wo rakhta hai jaan-o-dil se 'aziz
ye ek mughaalta hum jis mein mubtala the bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close