wo karen mujh pe inayat ghalat nama-bar hai teri ye baat ghalat khwab dekha to nahin hai qasid mujh se wo aur mulaqat ghalat mere dil ko na yaqin aaega tum na the ghair ke ghar raat ghalat khair yunhin sahi dushman sachcha achchha achchha meri har baat ghalat mere ashkon ki jhadi hai ye to aap samjhe rahen barsat ghalat tum pe marta hun kaha jab to kaha kya ye bakta hai khurafat ghalat shikwa-e-ghair pe jhunjhla ke kaha main na manunga teri baat ghalat mujh ko mahfil mein jagah den wo jhut ghair ki ho na mudaraat ghalat main to kahta hun pate ki sahib tum kahe jao teri baat ghalat shikwa-e-jor karun main tauba aap ke hain ye khayalat ghalat mai se aur tauba kare tu 'nashtar' main na manunga teri baat ghalat