aangan aangan khana-kharabi hansti hai meamaron par patthar ki chhat dhaal rahe hain shishe ki diwaron par zakhm lage to bas ye jaano chot padi naqqaron par aaj laga do jaan ki bazi tut pado talwaron par ahl-e-junun ki lala-kari mausam ki paband nahin fasl-e-khizan mein phul khule hain zindan ki diwaron par dil ke ufuq se tut gae hain kitne suraj kitne chand tapke hain do-chaar sitare jab tere rukhsaron par kahte hain khush-qamat kis ko dekh nikal kar gulshan se kaise kaise sarw-e-rana chalte hain angaron par is sahil par naw padi hai us sahil par manjhi hai beach nadi mein tairti lasho pul ban jao dhaaron par