is ki judai kaise kamalat kar gai wo khwab ban ke mujh se mulaqat kar gai dekha use jo main ne to kuchh bhi na sun saka kya baat kar rahi thi wo kya baat kar gai nadida manzilon ke liye raston ki dhul jab kahkashan bani to karamat kar gai raaton se chhin kar wo charaghon ki raushni jab subh ho gai to use raat kar gai hadd-e-adab mein yun to mare sil gae the hont ek khamushi bhi kitne sawalat kar gai phir is ke baad meri samaat hi kho gai kanon mein mere jaane wo kya baat kar gai aankhon mein kuchh nami to hamesha rahi hai 'shad' aankhon ki us nami ko wo barsat kar gai