gard-o-ghubar dhup ke aanchal pe chha gae aur ghan-garaj ke shor bhi baadal pe chha gae ab to koi kanwal nahin khilta hai jhil mein ab kante-dar barg hi jal-thal pe chha gae wo so nahin sakega kisi pal sukun se jab waswase bhi aankhon ke kajal pe chha gae bijli sitare chand shafaq aur dhup chhanw kaise zamin ke barhana jangal pe chha gae 'azam' ise wo kahte hain rangon ka ek fan jab dagh dhabbe farsh ke makhmal pe chha gae