aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi By Ghazal << kaha ye kis ne ki ab mujh... baat sach-much mein niral... >> aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi tu nahin tere barabar bhi nahin tha koi mere bahar to kisi maut ka sannata tha aisi tanhai ki andar bhi nahin tha koi kya tamasha hai ki phir jism mera bhig gaya raste mein to samundar bhi nahin tha koi Share on: